Shree Shyam Sunder Thakur Ji ka janam brijbhumi ke Goverdhan ke mukhrai hamak gaawn mein 1979 kartik shulk paksh ashtmi ko hua. inka pitaji ka naam Shree Pooran Lal Swami aur mata ji ka naam Shree Mati Ramwati Devi hai. Shree Thakur ji ke pita Shree Pooran Lal Swami shaastron ke gyata tatha uchh sanskaron se paripoorna the. unki mata ji ek kushal grahini. vaishv parivaar mein uttpann thakur ji ko krishna bhakti deshprem aur vaishnav vichardhara daay ke roop mein prapat hui. unmein janm se hi we lakshan the jo sant mein hote hain.
Unki aarambhik shiksha unke gaawn ke widhyalya mein aarambh hui tatha baad mein sanskrit vidhyalya se uchh shiksha prapat karke sanskrit vibhag ellahabad ke dwara i.c.c.j.c.c dwaran 1995 mein puruskrit hue. apne pujya pita ji se unhen shastron ki gyan prapat hua. Shree Thaku ji ne brij bhoomi ki prasidh Shree Krishna Raaslila mein bhi bhag lekar khyaati prapat ki.
Balyawstha se hi unki ruchi Shree Krisna Bhagwan ke charno mein thi. we kaafi choti awastha se hi Shree Krishn bhakti mein din raat rehte. Unke guru Shree Chandra Thakur Ji Vrindavan dhaam ki kripa tatha alp ayu mein prapat hua. 16 warsh ki aayu mein unhone apni sabse pehli bhagwat ktha arambh ki isi pawan diwya gyan ganga ke dwara jan jan ko prabhu bhakti ki our jane lage. uske dwara diye hue gyan jan jan ke antarman ko paawan karke prabhu bhakti ki our agrasar kiya iske ilawa unhone Shree Ram Katha tatha Shree Krishn Radha Bhajan Sandhya bhi ki jisse unhen prangat haasil ki. Guru kripa tatha krishna kripa adhik hone ke kaaran unhone kam samay mein hi bhagwatacharya ki upadhi haasil ki unki katha mein Shree Brijbhasha jo bhawanugamini hai. uska prayog kiya jo katha ko antarmritmay bnati hai. iske ilawa unhein angrezi, gujrati adi bhashaon ka bhi gya hai.
Prabhu unhein our divya ganga se aplawit kare taki we jan jan mein bethe parampita parmatma ki aatma sakshatkar karakar logon ko prabhu bhakti mein adhik sankhya me lga jisse is bhawsagar ko paar karne mein kathinai na ho.
No comments:
Post a Comment