Wednesday, January 5, 2011

Guru Mahima

Guru arthan 'gu' naam andhkaar ka hai our 'ru' naam prakash ka hai isiliye jo agyan roopi andhkaar ko mita de usse guru kehte hain. sadguru kaun hai, kjo uttam brahman ko kul mein janama ho oru shastron ke gyan mein prangat ho awem ek atoot waishnaw prampra mein dikshit ho weh sadguru hai.
                    Jab aise sadguru mil jate hain to unki sharan le leni chahiye kyunki aisa sadguru bade hi bhagyon se prapat hota hai. sadguru ki sharan lete samay yeh dhyaan rakhna chahiye ki unke saath apradhjanak vyawhaar no hone paye. sadguru parampita parmeshwar Shree Krishna ka sakshat swaroop hota hai. isiliye wyahwhaar mein sawdhaani awashyak hai. guru sadharan maanaw nahi hota. tan man dhan awem purnasharan gati dwara smarpit bhaw se guru ki sewa karke unhen prasaan rakhna chahiy. jab shishya is niyam ko samajh kar apna leta hai to antaryaami bhagwan jo hridte se parmatma roop se wirajmaan hai. andar se gyan ke bhandaar ko wiksit kar atam sakshatkaar kri deta hai. jab sasguru ek sache shishya ko prapat kar leta hai to wo bhi apne gyaan ke bhandaar ko khol dete hain.
                    Guru ko sadharan nahi samajhna chahiye awemunki agya ka kabhi bhi ulanghan nahi karna chahiye. isliye satya shishya banne ke liye samay guru ji ki baton par hi chalne chahiye guru ke katya ko dekhkar unki dekha dekhi nahi karni chahiye. jo shishya apne satguru ki ninda ya burai karte hain to unhen agle janam se kutte ka janam milta hai. jo shishya apne guru ko thagte hai wo kide ka janam pate hai. jo shishya apne guru se irshya dwes karte hai to unka agla janm ptange ka hota hai. shishya ko apne guru ke saath theek wyawhaar karna chahiye. kabhi kabhi guru ki wyawhaar shishyon ke saath gambheerta ke saath bachpan jaise ho sakta hai lekin satguru ke sabhi wyawhaar apem shastrokt shikshaon se paripoorn hote hai. guru ke sare wyawhaaron ko gambhirta se len kyunki guru hasi mzaak main bhi bhakti marg ke niyam sikha dete hain. satguru ka prityag nahi karna chahiye. jo shishya apne guru ka tyag karke any ki sharan lete hai ghor mood narak mein padte hain aisa shastra kehte hai. guru shishya ka rini nahin hota apito shishya guru ka rini hota hai kyunki guru shishyon ko bhagwat prapti ki marg dikhate hain. inhin karnon se shishya janm janmantar tak guru ka abhari bna rehta hai.

Jeewan Parichye

Shree Shyam Sunder Thakur Ji ka janam brijbhumi ke Goverdhan ke mukhrai hamak gaawn mein 1979 kartik shulk paksh ashtmi ko hua. inka pitaji ka naam Shree Pooran Lal Swami aur mata ji ka naam Shree Mati Ramwati Devi hai. Shree Thakur ji ke pita Shree Pooran Lal Swami shaastron ke gyata tatha uchh sanskaron se paripoorna the. unki mata ji ek kushal grahini. vaishv parivaar mein uttpann thakur ji ko krishna bhakti deshprem aur vaishnav vichardhara daay ke roop mein prapat hui. unmein janm se hi we lakshan the jo sant mein hote hain.

                     Unki aarambhik shiksha unke gaawn ke widhyalya mein aarambh hui tatha baad mein sanskrit vidhyalya se uchh shiksha prapat karke sanskrit vibhag ellahabad ke dwara i.c.c.j.c.c dwaran 1995 mein puruskrit hue. apne pujya pita ji se unhen shastron ki gyan prapat hua. Shree Thaku ji ne brij bhoomi ki prasidh Shree Krishna Raaslila mein bhi bhag lekar khyaati prapat ki.
                    Balyawstha se hi unki ruchi Shree Krisna Bhagwan ke charno mein thi. we kaafi choti awastha  se hi Shree Krishn bhakti mein din raat rehte. Unke guru Shree Chandra Thakur Ji Vrindavan dhaam ki kripa tatha alp ayu mein prapat hua. 16 warsh ki aayu mein unhone apni sabse pehli bhagwat ktha arambh ki  isi pawan diwya gyan ganga ke dwara jan jan ko prabhu bhakti ki our jane lage. uske dwara diye hue gyan jan jan ke antarman ko paawan karke prabhu bhakti ki our agrasar kiya iske ilawa unhone Shree Ram Katha tatha Shree Krishn Radha Bhajan Sandhya bhi ki jisse unhen prangat haasil ki. Guru kripa tatha krishna kripa adhik hone ke kaaran unhone kam samay mein hi bhagwatacharya ki upadhi haasil ki unki katha mein Shree Brijbhasha jo bhawanugamini hai. uska prayog kiya jo katha ko antarmritmay bnati hai. iske ilawa unhein angrezi, gujrati adi bhashaon ka bhi gya hai.
                    Prabhu unhein our divya ganga se aplawit kare taki we jan jan mein bethe parampita parmatma ki aatma sakshatkar karakar logon ko prabhu bhakti mein adhik sankhya me lga jisse is bhawsagar ko paar karne mein kathinai na ho.